Care- Taker Episode 5

Shamko 5 baje Purvi and Tanu dono psychologist se milne jaate hai..

Psychologist - Mujhe bataya Purvi ne..Lekin mujhe ab tak jo jo sapne tumne dekhe hai start to end mujhe bata do..

Tanu sab batati hai aur Purvi bhi batati hai ki Tanu jab nind me badbadati hai to hamare uthane par bhi nahi uth pati use kisi chij ka hosh hi nahi rahta....

Psychologist - Acha me samajh gaya pura manjhla..Ispar ek hi solution hai.... Tumhe lucid dream ki shuruvat karni hogi..aur usase hi tum us rahasya tak pahoch paogi..

Tanu - Vo kya hota hai?

Psychologist - Dekho Tanu me tumko sirf bata sakta hu,me ab jo tumhe Lucid Dreams ke bare me batane ja raha hu vo shayad tumhe believe na ho but sirf yahi ek rasta hai tumhara ye problem solve karne ka.Mushkil hai par impossible nahi.

Tanu - Doctor, I am ready,me abhi piche nahi hatungi bilkul kyuki me nahi chahti give up karna..me aise situation se bhagna nahi chahti.

Psychologist - That's nice..aise log bahot kam hote hai,aise hi bane rahna hamesha..Ab me samjhata hu tumko sab..

"Lucid dreams matlab Sapne ko hakkikat ki tarah jeena"
Tum vahi sapna dekhogi jo tum dekhna chahti ho.Tumhe jo sapna pareshan kar raha hai vo dekhne ki koshish karo aur jis samay tum vo sapna aaye to tum us sapne me hone wali har activity ko control kar sakti ho.

Tanu - Kya aise sach me hota hai?

Psychologist - Haan aise sach me hota hai,bas tumhe vishwas rakhna hoga aur koshish karni hogi ki vahi sapna dekho jo tum dekhna chahti ho.Isme kuch din,mahine ya saal bhi lag sakta hai.

Tanu - Thik hai doctor, I'll do that.Ab piche nahi hatna.

                                                      To be continued..

Apke hisab se kya apko lagta hai ki Lucid dreams ko aap jee sakte hai..?

Comment section me apka opinion jarur de.

Comments

Popular Posts